Friday, 23 March 2012

Jise ishq ka tir kaari lage

Jise ishq ka tir kaari lage,
Use zindagi kyon na bhaari lage.

Na chhore mahabbat dam-e-marg lag,
Jise yaar jaani son yaari lage.

Na hoe use jag mein hargiz qaraar,
Jise ishq ki beqaraari lage.

Har ik waqt mujh aashq-e-paak kon,
Piare teri baat piari lage.

Wali kon kahe tu agar ek bachan,
Raqibaan ke dil mein kataari lage.


Yaad karna har ghari us yaar ka Hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka.

Yaad karna har ghari us yaar ka
Hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka.

Aarzoo-e-chasma-e-kausar nahin
Tishna-lab hun sharbat-e-didaar ka.

Aakbat kya howega maalum nahin
Dil hua hai mubtla dildaar ka.

Kya kahe tarif dil, hai be nazir,
Harf harf us makhzan-e-israar ka.

Gar hua hai taalib-e-aazadgi,
Band mat ho subba-o-zunnaar ka.

Masnad-e-gul manzil-e-shabanam hui,
Dekh rutba dida-e-bedaar ka.

Ai Wali hona srijan par nisaar,
Mudda hai chashm-e-gohar baar ka.

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai.

Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai.

Aashiq saa to saada koi aur na hoga dunya mein,
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai.

Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaane hai.

Mehr-o-wafa-o-lutaf-o-inait, ek se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hai.

Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai.

Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai.

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.

Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.

Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.

Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq.

Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.

Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.

Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq?

Faqiraana aae sadaa kar chale

Faqiraana aae sadaa kar chale,
Miyaan khush raho ham dua kar chale.

Jo tujh bin na jeene ko kahte the ham,
So is ahd ko ab wafa kar chale.

Koi naumidana karte nigah,
So tum ham se munh bhi chhipa kar chale.

Bahut aarzoo thi gali ki teri,
So yaan se lahu mein naha kar chale.

Dikhai diye yun ke bekhud kiya,
Hamen aap se bhi juda kar chale.

Jabin sijda karte hi karte gayi,
Haq-e-bandgi ham ada kar chale.

Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe,
Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale.

Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bara kar chale.

Kahen kya jo puchhe koi ham se Mir,
Jahaan mein tum ae the kya kar chale.

Ibtadaae ishq hai rota hai kya

Ibtadaae ishq hai rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya.
Qafile mein subah ke ek shor hai,
Yaani ghaafil ham chale sota hai kya.

Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin,
Tukhm-e-khwahish dil mein tu bota hai kya.

Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin,
Daagh chhaati ke abas dhota hai kya.

Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz,
Mir isko raigaan khota hai kya.

Apne taeen to har ghari gham hai

Apne taeen to har ghari gham hai, alam hai, daagh hai,
Yaad kare hamen kabhi kab yeh tujhe dimagh hai.

Ji ki khushi nahin giro sabzaa-o-gul ke haath kuchh,
Dil ho shagufta jis jagah woh hi chaman hai baagh hai.

Kis ki yeh chashm-e-mast ne bazm ko yun chhaka diya,
Masl-e-habaab sar nagun sharam se har ayaagh hai.

Jalte hi jalte subah tak guzri use tamaam shab,
Dil hai ke shola hai koi, shama hai ya chiragh hai.

Paiye kis jagah bata ai but-e-bewafa tujhe,
Umr-e-guzashta ki tara gum hi sada suraagh hai.

Sair-e-bahaar-o-baagh se ham ko maaf kijiye,
Us ke khayaal-e-zulf se Dard kise faraagh hai ?

chashm-e-tar shabnam

Chaman mein subah yeh kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam,
Bahaar-e-baagh to yun hi rahi, lekin kidhar shabanam.

Arq ki bund us ki zulf se rukhsaar par tapki,
Taajjub ki hai jaage yeh pari khurshid par shabnam.

Hamen to baagh tujh bin khaana-e-maatam nazar aya,
Idhar gul phaarte the jeb, roti thi udhar shabnam.

Kare hai kuchh na kuchh taasir suhbat saaf tabon ki,
Hui aatish se gul ke baithte rashk-e-sharar shabnam.

Bhala tuk subah hone do ise bhi dekh levenge,
Kisi ashiq ke rone se nahin rakhti khabar shabnam.

Nahin asbaab kuchh laazim subak saaron ke uthne ko,
Gayi ur dekhte apne baghair az baal-o-par shabnam.

Na paaya jo gaya is baagh se hargiz suraagh uska,
Na palti phir saba idhar, na phir aai nazar shabnam.

Na samjha Dard ham ne bhed yaan ki shadi-o-gham ka,
Sahr khandaan hai kyon, roti hai kis ko yaak kar shabnam.

Tujhi ko jo yaan jalwa farma na dekha,

Tujhi ko jo yaan jalwa farma na dekha,
Baraabar hai duniya ko dekha na dekha.

Mera ghuncha-e-dil hai woh dil-grifta,
Ke jis ko kaso ne kabhi wa na dekha.

Aziat, musibat, malaamat, balaaen,
Tere ishq mein ham ne kya kya na dekha.

Kiya mujh ko daghon ne sarv-e-chiraghan,
Kabho tu ne aakar tamaasha na dekha.

Taghaful ne tere yeh kuchh din dikhae,
Idhar tu ne lekin na dekha, na dekha.

Hijaab-e-rukh-e-yaar the aap hi ham,
Khuli aankh jab, koi parda na dekha.

Shab-o-roz ai Dard darpai hun uske,
Kaso ne jise yaan samjha na dekha.

Duniya mein kaun kaun na yak baar ho gaya

Duniya mein kaun kaun na yak baar ho gaya,
Par munh phir is tarf na kiya us ne jo gaya.
Phirti hai meri khaak saba dar-b-dar liye,
Ai chashm-e-ashkbaar yeh kya tujh ko ho gaya.
Aagah is jahaan mein nahin ghair be khudaan,
Jaaga wahi idhar se jo mund ankh so gaya.
Tufaan-e-Noah ne to dubai zamin faqt,
Main nang-e-khalq saari khudaai dabo gaya.
Barham kahin na ho gul-o-bulbul ki asshti,
Darta hun aaj baagh mein woh tund khu gaya.
Waiz kise darawe hai yom-ulhisab se,
Giriya mera to naama-e-aamal dho gaya.
Phulenge is zabaan mein bhi gulzar-e-maarfat,
Yaan main zamin-e-sheir mein yeh tukhm bo gaya.
Aya na aitdaal par hargiz mazaaj-e-dahar,
Main garche garm-o-sard-e-zamana samo gaya.
Ai Dard jis ki ankh khuli is jahan mein,
Shabnam ki tara jaan ko apni woh ro gaya.

Tujhe bhool ja'ein hum

ab aur kya kisi se marasim burha'ein hum
yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja'ein hum
sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha
sunte rahe hein aap hi apni sada'ein hum
iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
itna na yaad aa ke tujhe bhool ja'ein hum
tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq
aa tere raaste mein sitare lota'ein hum
woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz
heh heh khuda na karda tujhe bhi rula'ein hum

Thursday, 22 March 2012

roonay ke bahaanay maaNge

qurbatooN mein bhi juda'ee ke zamaanay maaNge
dil wo be-mehr keh roonay ke bahaanay maaNge
hum na hotay to kisi aur ke churchay hotay
khuqat-e shehr tau kehnay ko fusaanay maaNge
yeh-hi dil tha keh turusta tha maraasim ke lya
ab yeh-hi turk-e talug ke bahaanay maaNge
zindagi hum tere daghooN se rahe sharminda
aur tu hai keh sada aina khaanay maaNge
dil kisi haal per qaanay hi nahin jaan-e faraz
mil gaye tum bhi tau kya aur na jaane maaNge

bouray hum hein dosto

tum bhi khafa ho loog bhi burhum hein dosto
ab ho chala yaqin keh bouray hum hein dosto
kis ko hamare hal se nisbut hai kya karein
aankhein to dushmanooN ki bhi purnum hein dosto
apne siwa humaray na hoonay ka ghum kise
apni talaash mein to humein hum hein dosto
kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shahr ke chiragh bhi mudhum hein dosto
iss shahr-e aarjo se bhi baahar nikal chalo
ab dil ki raunaqein bhi koi dum hein dosto
sub kuch sahi Faraz per itna zaroor hai
dunya mein aise loog bauhut kum hein dosto

Dard-e-Ashaub

juz teray koi bhi din raat na janay meray
tu kahaN hai magr Ah dost puranay meray
tu bhi khushboo hai magr mera tujusus bekar
burg-e-awara ki maninth dikhAnay meray
shumA ki lau thi kay wo tu tha magr hijr ki raat
dair tuk rotA raha koi sirhanay meray
khalq ki beKhabaree hai keH meree ruswa'ee
looq mujh ko hi sunatay hein fusanay meray
lut keh bhi khush hooN keh ashkooN se bhara hai daaman
dekh gharat gare dil yeh bhi khazane mere
Aaj ik aur burS beeth gya oos kay beghair
jis kay hotay hooay hotay thay zamanay meray
kaash tu bhi meri awaaz sunta ho
phir pukara hai tujhe dil ki saada ne mere
kaash tu bhi kabhi aajaye masiha'ee ko
loog aate hein bohat dil ko dukhane mere
kaashi aurooN ki turhaaN mein bhi keH sukta
baat soon li hai meri, aaj khuda ne mere
to hai kis haal mein aih zood-faramosh mere
mujh ko tu cheen lya aihed-e wafa ne mere
chara-gr yooN tu bohut heiN magr aeh jaan-e-faraz
juz teray aur koi zaghum na janay meray

khaatin hai rah-guzr

khaatin hai rah-guzr, thori dooR sath chalo
bohut karra hai safr thori dooR sath chalo
tamaam umr kahaan koi sath dai-ta hai
yeh jan ta hooN magar thori dooR sath chalo
Nashe mein choor hooN mai bhi tumhein bhi hosh nahin
baRRa maza ho agar thori dooR sath chalo
yeh aik shub ki mulaqaat bhi ghaNimat hai
kise hai kal ki khabr thori dooR sath chalo
abhi to jaag rahae hein chiragh rahooN ke
abhi hai dooR sahr thori dooR sath chalo
tawaf-e-manzil-janah hamein bhi karna hai
Faraz tum bhi agar thori dooR sath chalo

Mujh ko gulaab jaisa kafan kaun day gaya

Tazeer-e-ehtimaam-e-chaman kaun day gaya
Mujh ko gulaab jaisa kafan kaun day gaya

Daikhay jo khad-o-khaal toh socha hai baareha
Sehra ki chaandini ko badan kaun day gaya

Meri jabeen ki saari lakeerain teri atta
Lekin teri qaba ko shikan kaun day gaya

Teray hunar mai khulqat-e-khushboo sahi magar
Kaanton ko umer bhar ki chubhan kaun day gaya

Jungle say poochti hain hawaaon ki barhami
Jugnoo ki tairgi mai kiran kaun day gaya






Kis nay basaaye aankh mai ashkon kay qaaflay
Be-ghar musaafiron ko watan kaun day gaya

Tujh say toh khair pall ki musaafit ka saath tha
Meray badan ko itni thakan kaun day gaya

Todha hai kis nay nok-e-sinaan par sakoot-e-sabr
Lab bastagi ko taab-e-sukhan kaun day gaya

*Mohsin* wo kaayinaat-e-ghazal hai ussay bhi daikh
Mujh say na pooch mujh ko yeh funn kaun day gaya

GunaahoN ki tarah

Gham Badhe Aate Hain Qatil Ki Nigahon Ki Tarah
tum chupaa lo mujhe, ae dost, gunaahoN ki tarah

apani nazaroN maiN gunaahagaar na hote, kyuNkar

dil hii dushman hai muKhaalif ke gvaahoN ki tarah

har taraf zeest kii raahoN maiN kaDii dhoop hai dost

bas terii yaad ke saaye haiN panaahoN ki tarah

jin ki Khaatir kabhii ilzaam uThaaye, 'faakir'

wo bhii pesh aaye haiN insaaf ke shaahoN ki tarah

falsafa e ishq main pesh aaye sawaloo ki tarah

falsafa e ishq main pesh aaye sawaloo ki tarah
ham pareshaan hi rahe apane Khayalon ki tarah

sheeshaa gar baiThe rahe zikr-e-masiihaa lekar

aur ham TooT gaye kaaNch ke pyaalon ki tarah

jab bhi anjaam-e-muhabbat ne pukara Khud ko

waqt ne pesh kiyaa ham ko misaalon ki tarah

zikr jab hoga muhabbat maiN tabaahii ka kahin

yaad ham aaiinge duniyaa ko hawaalon ki tarah

yaad-e-raftgaaN Mohsin

Kabhi jo cheirr gaee yaad-e-raftgaaN Mohsin
Bikhar gaee hain nigaahein kahaaN kahaaN Mohsin

Hawa ne raakh urraai to dil ko yaad aaya
K jal bujheeN mere khwabon ki bastiyaaN Mohsin

Kuch aaise ghar bhi miley jin mein ghoogatton k iwaz
Hui hain dafn dopatton mein larrkiyaaN Mohsin

Khandar hai ehd-e-guzishta na chhu na chheirr isey
Khulein to band na hon is ki khirrkiyaaN Mohsin

Bujha hai kaun sitaara k apni aankh k saath
Huey hain saare manaazir dhuaaN dhuaaN Mohsin

Nahi k us ne ganwaaye hain maah o saal apne
Tamaam umr katti yoon bhi raaegaaN Mohsin

Mila to aur bhi taqseem kar gaya mujh ko
Sameittna theeN jisey meri kirchiyaaN Mohsin

Kahin se us ne bhi torra hai khud se rabt-e-wafa
Kahin se bhool gaya main bhi daastaaN Mohsin

main bhi kaise batain likhta rehta hoon ?

cherey perhta, aankhain likhta rehta hoon
main bhi kaise batain likhta rehta hoon ?

saray jism darakhtoon jaise lagtay hain
aur bahoon ko shakhain likhta rehta hoon

tujh ko khat likhnay ke taiwar bhool gia
aarhi tirchi satrain likhta rehta hoon

tere hijr main aur mujhe kia kerna hai
tere naam kitabain likhta rehta hoon

tujh se mill ker saray dukh dohraoon ga
hijr ki sari batain likhta rehta hoon

sookhay phool, kitabain, zakham judai ke
teri sab soghatain likhta rehta hoon

us ki bheegi palkain hansti rehti hain
MOHSIN jab tuk ghazlain likhta rehta hoon

Aab kay youn bhi tairi zulaf ke shikan tooti hai


Aab kay youn bhi tairi zulaf ke shikan tooti hai
Rung phootay, kaheen khushbo ke rasan tooti hai

Mout Aaye Hai keh Taskeen Ke saa'at aye hai
Saans tooti hai kay sadiyoon ke thakan tooti hai

Seena e gul jahaan nikhat bhi giraan thehri hai
Teer Ban Kar Wahaan souraj ke kiran tooti hai

Dil Shakasta Tu Kaye Baar Howay Thai Laikin
Aab kay Youn hai kay har shakh e badan tooti hai

Itni Bay'rabat mohabbat bhi kahaan thi apni
Darmayaan Say Kaheen Zanjeer e sukhan tooti hai

Aik shoola keh tah e khaima e jaan lapka tha
Aik bijli kay sar e sehan e chaman tooti hai

silsala tujh say bicharnay pay kahaan khatam howa
Ik zamanay say rah o rasam e kohan tooti hai

Mairay yaroon kay tabassum ke kiran maqtal mein
Nook e naiza ke tarhan zair e kafan tooti hai

Raiza Raiza mein bikharta gaya mohsin
Sheesha sheesha mairi sanginee e fun tooti hai

Ab Aye Meray Ehsaas-e-Junoon

Ab Aye Meray Ehsaas-e-Junoon, Kya Muje Dena...??
Daryaa Ussey Baksha Hay Toa Sehra Muje Dena...!!

Tum Makaan Jab Karoo Taqseem Toa Yaroo...!!
Ghirtii Howi dewaar Ka Saya Muje Dena...!!

Jab Waqt Ki Murja'ee Howi Shaakh Sambalo...!!
Uss Shaakh Say Toota Howa Lamha Muje Dena..!

Tum Mera Badan Aurh Kay Phirtey Raho.....Laikin..!!
Mumkin Hoo Toa Ek Din Mera Chehra Muje Dena...!!

Chuu Jaye Hawa Jiss Say Toa Khushbo Teri Aye..!!
Jaatey Howey Eik Zakhm Toa Aisa Muje Dena...!!

Shab Bhar Ki Musafat Hay Guwahee Ki Talabgaar...!!
Ayee Subah-e-Safar, Apna Sitara Muje Dena...!!

Ek Dard ka Mela Kay Laga hay Dil-o-Jaan Mein ..!!
Ek Rooh Ki Awaaz Kay "Rasta Muje Dena"...!!

Ek Taza Ghazal Azn-e-Sukhn Maangh Rahi hay ..!!
Tum Apna Mehakta Howa Lehjaa Muje Dena..!!

Woh Mujse Kahein Bahr Kay Museebath Mein Tha Mohsin..!!
Reh Reh Kay Magar Uska Dilaasa Muje Dena..!!!

Bichray Howey

Bichray Howey Yaroon Ki Sadaa Kyun Nahe Aati..??
Ab Roozn-e-Zindaa'n Say Hawa Kyun Nahe Aati..??


Tu Ab Bhi Salamat Hay Safar Mein Toa Musafir...!!
Teray Leye Hontoon Par Dua Kyun Nahe Aati..??


Pathar Hoo Toa Kyun Khoof-e-Shab-e-Gham Say Ho Larzaa'n..??
Insaan Hoo Toa Jeenay Ki Aadaa Kyun Nahe Aati..??


Ek Pairr Kay Saaye Say Hawa Pooch Rahi Hay...!!
Ab Dasht mein Makhlooq -e -Khuda Kyun Nahe Aati..??


Chehroon Peh Woh Sarsoon Ki Dhanak Kya Howi Yaroo..!!
Hathoon Say woh Khushboo-e-Hina Kyun Nahe Aati...??


Bastii Mein Sabhi Log Salamath Hein Toa Mohsin ...!!
Awaaz Koi Apnay Siwa Kyun Nahe Aati....??

Rah-e-Wafa Mein

Rah-e-Wafa Mein Azi'yat Shanasa'yan Na Gayen ..!!
Kisi Bhi Ruth Mein Hamari Udasiyan Na Gayen..!!


Tanni hay Abar Ki Chader Bhi Aasman Pey Magar..!!
Sho'a-e-Maher, Teri Be-Libasi'yan Na Gayen..!!


Teray Qareeb Bhi Reh Kar Tuje Talash karon..!
Muhabatoon Mein Meri Bad-hawasi'yan Na Gayen..!!


Khuda Khaber Kahan Koonjo Kay Kafilay Uthrey..??
Samander Ki Taraf Bhi Toa Piyasi'yan na Gayen..!!


Khizaan Mein Bhi Toa Mehakti Ghazal Pehan Kay Mila..!!
Mizaaj-e-Yaar Teri Khush Libasi'yan Na Gayen..!!


Basant Ruth Mein Bhi Mander Udaas Thay Mohsin..!!
Kay Dewa'toon Say Milnay Ko Dasiyaan Na Gayen..!!

us ki dulhan sajaungi

kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi
main apne hath se us ki
dulhan sajaungi
supurd kar k use chandni k hathon
main apne
ghar k andheron ko laut aungi

badan k karb ko wo bhi
samajh na payega
main dil main roungi ankhon main
muskuraungi

wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye
main kis
se ruth sakungi kise manaungi

wo ik rishta-e-benam bhi
nahin lekin
main ab bhi us k isharon pe sar
jhukaungi

bicha diya tha gulabon k sath apna wajud
wo so k
uthe to khwabon ki rakh uthaungi

ab us ka fan to kisi aur
se mansub hua
main kis ki nazm akele main
gungunaungi

jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
wo kah
raha tha k main us ko bhul jaungi

samaaton main ghane
jangalon ki sansen hain
main ab kabhi teri awaz sun na
paungi

Lekin Rehne Do ..

Sarey Wadon Ko Bhula Sakta Hon
Lekin Rehne Do
..

Main Tumhe Choor Ke Ja Sakta Hon
Lekin Rehne Do ..
Tum
Jo Har Mor Pe Keh Dety Ho Khuda Hafiz

Fesla Main Bhi Suna Sakta Hon
Lekin Rehne Do ..
Tum ne Jo Bat Ki Dil ko Dukhnay Wali
Us
Pe Main Muskura Sakta Hon

Lekin Rehne Do ..
Sharam Aye gi Tumhe
Warna Tumhare Wade

Main Tumhe Yaad Dila Sakta Hoon
Lekin Rehne
Do

harf e taaza naii khushboo mein likha chahta hai

harf e taaza naii khushboo mein likha chahta hai
baab ik aur mohabbat ka khula chahta hai
aik lamhay ki tawajoo nahi hasil uss ki
aur yeh dil keh ussay hud say siwa chahta hai
ik hijaab teh e iqrar hai ma’nay manay warna
gul ko maloom hai kaya dast e saba chahta hai
rait he rait hai iss dil mein musafir mairay
aur yeah sehra taira naqash e qaf e pa chahta hai
yehe khamooshi kai rung mein zahir ho gi
aur kuch roz keh woh shokh khula chahta hai
raat ko maan liya dil nay muqadar laykin
raat kay haath pay aab koi diya chahta hai
tairay paymanay mein gardish nahi baqi saqi
aur tairi bezam say aab koi utha chahta hai

dhoop meiN shiddat bhi bohat thi

rasta bhi kaThan, dhoop meiN shiddat bhi bohat thi
saaye
se magar us ko mohabbat bhi bohat thi
kheme
na koii mere musaafir ke jalaaye
zakhmi tha bohat paaooN musaafat bhi bohat thi

sab
dost mre muntazir-e-parda-e-shab the
din meiN to safar karne meiN diqqat bhi
bohat thi

barrish ki duaaoN meiN nami aaNkhi ki mil jaaye
jazbe ki
kabhi itni rafaaqat bhi bohat thi

kuchchh to tre mausam hi mujhe raas kam
aaye
aur kuchchh mri miTTi meiN baghaawat bhi bohat thi

phooloN ka
bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuchchh is meiN hawaaoN ki siyaasat bhi
bohat thi

is tark-e-rafaaqat pe pareshaaN to hooN lekin
ab tak ke tre
saath pe herat bhi bohat thi

khush aaye tujhe shehr-e-munaafiq ki
ameeri
hum logoN ko sach kehne ki aadat bhi bohat thi
Perveen
Shakir

Dast basta shehr main kholay meri zanjeer koun

Dast basta shehr main kholay meri zanjeer
koun
Paa baa gul sab hain rehaayee ki karey tadbeer koun
Mera sar haazir
hay lekin mera munsif dekh lay
Kar raha hay meri fard0e0jurm ko tehreer
koun

Meri chaadar toh chinni thee shaam ki tanhaayee main
Be-riddayii
ko meri phir dey gaya tash-heer koun

Neend jub kawbon sey pyari ho toh
aisey ehd main
Khawb dekhay koun aur khawbon ki dey taabeer koun

Rait
abhi pichlay gharondon sey na wapis ayee thee
Phir lab-e-saaahil gharonda kar
gaya taameer koun

Dushmano kay sath merey dost bhi azaad hain
Dekhna
hay kheenchta hay mujh pay pehla teer
koun

jawan hai raat

jawan hai raat saqiyaaa sharaab laa sharaab laa
zaraa sii pyaas to bujhaa sharaab laa sharaab laa

tere shabaab par sadaa karam rahe bahaar kaa

tujhe lage merii duaa sharaab laa sharaab laa

yahaaN koii na jii sakaa na jii sakegaa hosh maiN

mita de naam hosh kaa sharaab laa sharaab laa

tera badaa hii shukriyaa pilaaye jaa pilaaye jaa

na zikr kar hisaab kaa sharaab laa sharaab laa

Kaash aa jaaye mujhe jaan se guzarte dekhe

Kaash aa jaaye mujhe jaan se guzarte dekhe
us ki khwaahish thi kabhi mujkho bikharte dekhe

wo saleeqay se huwa mujh se gureyzan warna

log to saaf mohabbat se mukarte dekhe

tum ney dekha hey nikalta huwa sooraj logo

tum ne kuch khwaab suhaanay nahi marte dekhe

waqt hota hey har ik zakhm ka marham shayed

phir bhi kuch zakhm thay aesey jo na bhartay dekhe

aek sehmey huwey sahil ki tarha aankhon ne

kitne charhtey huwey toofan utarte dekhe

meri ankhon main ummad aaya hai darya dil ka

meri ankhon main ummad aaya hai darya dil ka
phir kahin toot gaya ho na kinara dil ka

bus muhabbat se riwayat hai kahani dil ki

char harfon se ibarat hai fasana dil ka

us ne dali hi nahin bheek nazar ke aur main

liye ankhon main kharra reh gaya kaasa dil ka

saans rukti hai tau phir jaan ka khayal aata hai

dil dharakta hai tau lag jata hai dharhka dil ka

issi koshish main buhat umar ganwa di main ne

phir bhi poora na huwa mujh se khasaara dil ka

meri payaab tamanna’in batati hain mujhay

sookh jaye ga koi roz main darya dil ka

badli badli si sada deti hai dharkan dil ki

hijr main aur hi ho jata hai lehja dil ka

kiyun na aye dost abhi tark-e muhabbat kar lain

iss se pehlay ke badal jaye iraada dil ka

fikr-e-dunya main mere dil ko bhulanay walay

teri dunya se ziada hai asaasa dil ka

us ki ankhon ne kaha chupke se, khul ja sum sum

khul gaya ain ussi waqt dareecha dil ka

ishq katay ga abhi aur chatanain "sagar"

aqal dekhi gi abhi aur tamasha dil ka

TUM PYAR KARO GI KITNA

Har Fard Yahan Pr Taajir Hai,
Har Waqt Tijarat Hoti Hai,
Tum Aap Hi Apne Daam Kaho,
Chupke Nhi .... Sarr-e-Aam Kaho,
Kya Lo Gey Apni Yaari Ka?
Kya Lo Gey tum Dil Daari Ka?
Gham_khwar Bano Gey Kitne Mein?
Tum Pyar Karo Gey Kitne Mein?
Sab Jazbe Mere Naam Karo?
Hm Naam tm apna Daam kaho,
Par daam chukaane ki Khatir,
Hm apna daftar kholein To,
Hm apni jaib ta_tolein To,
Bs pyar mille ga thora Sa,
Izhaar mille ga thora Sa,
Yeh sikke yahan kab chalte Hein,
Kya udhaar mille ga thora Sa?
Yeh duniya Be-Aitbaari Ki,
Yeh arz hey har Beyopari Ki,
Chal chor tamanna Jazbon ki,
Hum khaali hath he aaye they,
Chal khaali hath he Chaltey Hein.

DIL MEIN JAGA DI HOTI

Koi Ilzam Lga Kr To Saza Di Hoti
Phir Meri Lash Sare-Bazar Jala Di Hoti
Itni Nafrat Thi To Pyar Se Dekha Kioun Tha
Mjhe Pehle Hi Meri Okat Bata Di Hoti
Dekh Kar Zakham Mere Ankhain Chura Li Tu ne
Poch Kar Kuch To Zakhmon Ki Dawa Di Hoti
So Jata Main B Chain Se Jana
Tu Ne Agar Shoq Se Aanchal Ki Hawa Di Hoti
Zindagi Apni B Chain Se Guzar Jani Thi

SHAKHS KO DEKHA THA

ek shakhs ko dekha tha taroon ki tarha hm ny 
ek shakhs ko chaha tha apno ki tarha hm ny 
ek shakhs ko samja tha phoolon ki tarha hm ny 
wo shakhs qyamat tha kia karyn os ki batian
din os k liyay paida or os ki he thi ratain ...
kab milta kisi sy tha hm sy thin mulakatin
rung os ka shahabi tha zulfoon may thin mayhkaryn 
ankhayn thin k jadu tha palkayn thin k talwaryn
dushman b ager daykhen tu jaan sy dil haryn 
kuch tm sy wo milta tha batoon may shbaahat thi 
han tm sa he lagta tha shokhi may sharart may 
lagta b tum he sa tha dastour e muhabat may 
wo shakhs hmy ek din apno ki tarha bohla
taroon ki tarha doba pholoon ki tarha tota 
phir hath na aya wo hm ny boht dohnda
tm kis liyay chonky ho kab zikar tmhara hy 
kab tm sy takaza hy kab tm sy shikayat hy 
ek taza hikayat hy soun loo tu inayaat hy 
ek shakhs ko daykha tha taron ki tarha hm ny 
ek shakhs ko chaha tha apnoo ki tarha hm ny 
ek taza hikayat hy soun loo tu inayat hy

HALKI HALKI BARISH

Kal Halki Halki Barish thi,
Kal Sard Hawa ka Ruqs Bhi Tha.

Kal Phool bhi Nikhray Nikhray Thay,

Kal Un Me Aap Ka Aks bhi Tha,

Kal Badal Kaalay Gehrey Thay,

Kal Chaand Pay Laakhoon Pehrey Thay.

Kuch Tukray Aap ki Yadoon Kay,

Bari Dair say Dil Me Thehray thay,

Kal Yaadain Uljhi Uljhi Theen,

Or Kal Tak Yeh Na Suljhi Theen,

Kal Yaad Bohot Tum Aay Thay..

Kal Yaad Bohot Tum Aay Thay

KAUN HOON MAIN

Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
Zazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa.

Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo door ho ke pass nahin.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
Kabhi najuk toh kabhi tufaano sa.
Sakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.

Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahin,
Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai.

Yuh rehta toh mere tassavur me hai,
Par in aankho ko uski talaash nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahin……..

WOH BOLI

Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein
Main Bola, Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai
Woh Boli, Aarzuein Dil Ke Andsar Been Karti Hain
Main Bola, Theek Hai Mujh Ko Sunayi Dete Hain
Woh Boli, Hum To Jaise Eik Musalsal Dukh Ke Qaidi Hain
Main Bola, Theek Hai Yeh Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai
Woh Boli, Koi Shab To Khwab Mein Bhi Khwab Aate Hain
Main Bola, Theek Hai Kuch Hasratein Aise Bhi Karti Hain
Woh Boli, Baarishon Mein Aur Zyada Jaan Sulagti Hai
Main Bola, Theek Hai Yeh Aag Paani Ke Masail Hain
Woh Boli, Raat Kyun Mushkil Se Kat'ti Hai Judai Mein
Main Bola, Waqt To Kaifyaton Ka Naam Hota Hai
Woh Boli, Chahaton Mein Dard Ke Rehne Ki Khwaish Kyun
Main Bola, Dard Ke Maare Huon Ko Chain Milta Hai
Woh Boli, Rooh Ki Aasodgi Ko Kya Zaroori Hai
Main Bola, Rooh Ko Aalodgi Achi Nahin Lagti
Woh Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kya Kahani Hai
Main Bola, Aadam-o-Hawa Kki Chahat Ki Nishaani Hai
Woh Boli, Be-Saropa Khwaishein Beemar Rakhti Hain
Main Bola, Aadmi Andoa Ke Batin Se Nikla Hai
Woh Boli, Door Reh Ker Dard Barh Jata Hai Seene Mein
Main Bola, Qurbatein Bhi Hijar Ke Khudshe Barhaati Hain
Woh Boli, Shaam Hote Hi Udaasi Phail Jaati Hai
Main Bola, Raat Bhi To Aansuon Se Ishq Karti Hai
Woh Boli, Zindagi Mein Tu Nahi To Zindagi Kab Hai
Main Bola, Har Taraf Ik La-Ubali Maut Hadwi Hai
Woh Boli, Ishq Ka Apna Ilehda Rang Hota Hai
Main Bola, Rang Ka Apna Ilehda Ishq Hota HAi
Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Wajah Sa Khauf Rehta Hai
Main Bola, Ishq To Be-Baak Logon Ka Hi Shewa Hai
Mohabbat Eik Pal Bhi Sukh Nahi Deti, Kaha Us Ne
Kaha MAin Ne, Mohabbat Ke Ilawa Kaun Sa Sukh Hai
Mohabbat Shehar Bhar Mein Goonj Jaati Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Ke Chupa Rehne Ki Khwaish Kiya
Mohabbat Chup Nahi Rehti Kisi Pal Bhi, Kaha Us Nne
Kaha Mmain Ne, Mohabbat Bin To Kayinaat Goongi Hai
Mohabbat Zehan Ka Ik Khaas Aalim Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Rooh Ki Dehleez Hoti Hai
Mohabbat Be-Sabab Tarpaye Rakhti Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne Ke Yeh Asbaab Kya Shai Hai Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai Sitaare Aansuon Mmein Kyun Chamakte Hain
Main Kehta Hoon Mohabbat Roshni Mein Rang Bharti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa Ke Haath Mein Kya Kya Nahi Aata
Main Kehta Hoon, Jo Dehleezon Ke Andar Dafan Hota Hai
Woh Kehti Hai, amaane Ko Dilon Se Ranj Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Yeh Aazar To Sadiyon Ki Qismat Hai
Woh Kehti Hai, Tumhaare Baad Kyun Baarish Nahi Hoti
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Hijar Sehraon Mein Rehta Hai
Woh Kehti Hai, Ke Khushiyon Mein Bhi Tum To Rone Lagte Ho
Main Kehta Hoon, Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai
Woh Boli, Tum Bhi Farhat Zindagi Se Rooth Jao Ge
Main Bola, Han, Shayed Mmaut Mujh Se Maan Jaye Gi
Woh Boli, Tum Khushi Ke Geet Ko Mayoos Karte Ho
Main Bola, Kya Karoon In Mukhtasar Geeton Ka Mausam Hai
Woh Boli, Tum To Farhat Khud Hi Khud Se Haar Jaate Ho
Main Bola, Kya Karoon Kamzor Hoon Aur Be-Sahara Hoon
Woh Boli, Kya Yeh Sab Kuch Itefaqan Hai Tumhara Gham
Main Bola, Yeh Bhi Mumkin Hai Yeh Sab Ehtaraman Ho
Mohabbat Mein Ghamon Ki Is Kadar Yalghar Kyun,.. Boli
Main Bola, Tum Kisi Din Yeh To Apne Aap Se Poocho
Woh Kehti Hai , Suno Farhat! Tumhara Khwab Kyun Toota
Main Kehta Hoon, Sarabi! Dil Mein Koi Kheench Parhti Thi
Tumhari Shairy Mein Zindagi Ki Siskiyan Kyun Hain
Main Bola, Aansuon Ki Ibtadayi Shakal Joh Thehri
Woh Kehti Hai Ke Farhat Shah Main Kuch Muztarib Si Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Tum To Meri Rooh Jaisi Ho
Woh Kehti Hai, Tumein Kyun Khauf Aata Hai Hawaon Se
Main Kehta Hoon, Sarabi! Deep To Aise Hi Hote Hain
Woh Kehti Hai, Chalo Farhat! Hawa Ke Saath Chalte Hain
Main Khamoshi Se Us Ke Saath Chal Deta Hoon Bujhne Ko
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Gayab Ho Sadiyon Se
Main Kehta Hoon, Hazaron Wasooson Ke Darmiyaan Gum Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Bechainiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Mein Hoti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khauf Ka Doraniya Kya Hai
Main Kehta Hoon, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badlon Ki Umr Kitni Hai
Main Kehta Hoon, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai
Woh Mujhse Poochti Hai, Raat Itni Be-zuban Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Zuban To Dard Ki Shiddat Se Hoti Hai
Woh Kehti Hai, Yeh Khamoshi Bhi Kuch To Sochti Hogi
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Ghuftugo Ki Bheer Mein Kho Jaye
Woh Kehti Hai, Ke Farhat Kuch Dinon Se Bolte Kam Ho
Main Kehta Hoon, Kayi Dukh Bolne Se Rok Dete Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Yeh Soch Ker Batla Main Kaisi Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Sochne Mein Waqt Lagta Hai
Main Kehta Hoon, Tumhein Darya Kinare Kaise Lagte Hein
Woh Kehti Hai Tumhein Bichare Sahare Kaise Lagte Hein
Main Kehta Hoon, Mujhe Tum Hansti Gaati Achi Lagti Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Dard Se Darne Lage Ho Kya
Woh Boli, Raat Se Kya Baat Karte Ho Akele Mein
Main Bola, Dard Ki, Kuch Kuch Mohabbat Ki, Judai Ki
Woh Boli, Chand Kya Aata Hai Tum Se Chonchlein Karne
Main Bola, Haan Kabhi Sapnon Ke Aangan Mein Utarta Hai
Woh Boli, Kaun Aksar Yaad Aata Hai Udaasi Mein
Main Bola, Kuch Puraane Raaste, Bachpan Aur Ik Larki
Woh Boli, Dard Ki Jaziyaat Mein Parne Se Kya Behtar
Main Bola, Dard Ko Khush Khush Sahein Aur Kooch Kar Jayein
Woh Boli, Zindagi To Dairon Ke Phailne Se Hai
Main Bola, Maut Bhi Ik Daira Hai Door Tak Phaila
Woh Boli, Rooh Ke Andar Kahin Per Aag Jalti Hai
Main Bola, Haan Dhuan Main Ne Bhi Dekha Hai Nigahon Mein
Woh Boli, Ik Dahekta Shor Sharyanon Mein Behta Hai
Main Bola, Haan Badan Per Aabley Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Saans Per Bhi Dard Ke Korhay Baraste Hein
Main Bola, Haan Lahoo Per Neel To Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Zaat Ki Teh Mein Na Jaane Kya Nahan Hoga
Main Bola, Jism Per Ubhri Waredon Se Bhi Zahir Hai
Woh Boli, Daq Zada Jeevan Chupati Phir Rahi Hoon
Main Bola, Nakhunon Ki Zardiyon Ne Ker Diya Aryan
Woh Kehti Hai, Teri Jaibon Mein Itne Khwab Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Mein Mujhe Zinda Bhi Rehna Hai
Woh Kehti Hai, Tere Kalar Pe Mitti Ka Nishaan Kaise
Main Kehta Hoon Ke Majboori Alamat Chor Jati Hai
Woh Kehti Hai, Teri Aawaz Mein Masoomiyat Si Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Mazloomiyat Ke Baad Aati Hai
Woh Kehti Hai, Tere Chehre Pe Karb Be-Karan Kaisa
Main Bola, Dil Ne Chehre Per Zara Sa Rang Chora Hai
Woh Kehti Hai, Tere Haathon Pe Zakhmon Ke Manazir Kyun
Main Kehta Hoon Ke Kuch Zevar Bare Anmol Hote Hain
Woh Boli, Umar Beeti Koi Bhi Milne Nahi Aaya
Main Bola, Umar Se Pooch Ke Aakhir Umar Kyun Beeti
Woh Boli, Husn Dhalne Ke Liye Hota Hai, Lagta Hai
Main Bola, Husn Ho, Ya Bakht Ho, Ya Chand Sooraj Hon
Woh Ab To Zulfon Mein Bhi Chandi Si Sarak Aayi
Main Bola, Rooh Tak Main Bhi Dararhein Parh Gayi Hongi
Woh Boli, Haath Dekho Be-Iradah Hi Larazte Hain
Main Bola, Haath Dikhlao To Phir Dekho Bhi Himmat Se
Woh Boli, Zindagi Ka Aakhri Kardaar Hairat Hai
Main Bola, Maut Se Pehle Koi Ghar Baar Hairat Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badalon Ko Kab Bulao Ge
Main Kehta Hoon, Tumhein Jab Dhoop Ka Mausam Sataye Ga
Woh Mujh Se Poochti Hai, Panchiyon Se Aashnayi Hai
Main Kehta Hoon Ke Ashkon Ke Qataron Se Bhi Waqif Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Buniyaad Mein Kya Hai
Main Kehta Hoon, Kisi Jangal Ka Qatal Aam Hai Shayed
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Samandar Mein Kabhi Utre
Main Bola, Ik Samandar Doosre Mein Kis Liye Utre
Woh Kehti Hai, Mujhe Mayoosiyan Rasta Nahi Deteen
Main Kehta Hoon NKe yeh Mayoosiyan Taqat Bhi Hoti Hain
Woh Kehti Hai, Bohat Tanha Hoon Main Is Puri Dooniyan Mein
Main Kehta Hoon Ke yeh Ehsaas To Ho Ga KHUDA Ko Bhi
Woh Kehti Hai Ke Mujh Per Shehar Ke Wehshi Lapakte Hain
Main Kehta Hoon Ke Tum Kardaar Ko Seena Sapar Ker Lo
Woh Kehti Hai, Hajoom Badrosh Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Mujhe Ujri Hui Galiyan Darati Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Be-Has Zamaane Se Shikayat Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Shikwa Shikayat Rayigaan Hai Sab
Woh Boli, Tum Kahan Gayab Rehte Ho Raaton Ko
Main Bola, Main To Bas Aawara Phirta Hoon Udaasi Mein
Woh Boli, Phone Bhi Aksar Bohat Angej Rakhte Ho
Main Bola, Be Saropa Ghantiyon Se Khauf Aata Hai
Woh Boli, Tum Bohat Kanjoos Ho Khat Bhi Nahi Likhte
Main Bola, Khat Likhoon To Shairy Naraaz Hoti Hai
Woh Boli, Tum Kabhi Milne Chale Aao Jo Mumkin Ho
Main Bola, Yeh To Tum Ne Mere Dil Ki Baat Keh Di Hai
Woh Boli, Aaj Mausam Mein Ajab Si Khushgawari Hai
Main Bola, Han Yeh Mausam Pyaar Se Milne Ka Mausam Hai
Woh Kehti Hai Ke Ab Aawargi Se Kuch Nahi Haasil
Mujhe Hairat Hai Yeh Sab Kuch Woh Mujh Badal Se Kehti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa To Banjh Pan Taqseem Karti Hai
Main Kehta Hoon, Magar Dharti Hawa KE bAS Se Bahir Hai
Woh Kehti Hai, Shabein Dhoke Mein Rakhti Hain Hamesha Hi
Main Kehta Hoon, Kahin Yeh To Nahi Dhoka Dinon Mein Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe To Zindagi Se Eik Shikwa Hai
Hamesha Sailon Ko Maut Ke Saye Mein Rakhti Hai
Woh Kehti Hai, KHUDA Milta To Us Se Baat Karti Main
Main Kehta Hoon, Magar Main To Khamoshi Bant'ta Rehta
Woh Kehti Hai Ke Farhat Be-Zarar Rehna Nahi Acha
Main Kehta Hoon, Kayi Achaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Meri Yaadon Se Kyunkar Door Rehte Ho
Main Kehta Hoon, Teri Parchaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Tumhari Kuch Dua Bhi To Koi Ho Gi
Main Kehta Hoon, Jahan Tum Ho Yeh Raatein Bhi Wahin Hoteen
Ajab Ik Ma'noiyat Si Palat Aati Nazaron Mein
Tumhein Hum Dekhte Bhi Aur Baatein Bhi Wahin Hoteen
Sitaare Dekhne Aate Mujhe Teri Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai, Sitaare Aur Sapne Jhoot Hote Hain
Woh Kehti Hai Ke Ab Roun To Aansoo Chubhne Lagte Hain
Main Kehta Hoon, Kisi Shayar Se Aankhein Maang Sakti Ho
Woh Boli, Aas Ki Faslein Kayi Beemar Hain Dil Mein
Main Bola, Jis Tarah Mumkin Ho Sawal Ko Bula Lao
Woh Boli, Main Adhoore Qaidiyon Ki Sif Mein Shamil Hoon
Main Bola, Is Ka Matlab Hai Ke Aazadi Nahi Mumkin
Woh Boli, Kuch Likhoon To Ungliyon Se Khoon Rasta Hai
Main Bola, Main To Aise Mein Bhi Apne Dil Se Likhta Hoon
Woh Boli, Dard Ne Asab Ko Murda Bana Daala
Main Bola, Ishq Ki Bechainiyon Se Zindagi Ker Lo
Woh Kehti Hai, Agar Sab Raaste Masdwa Ho JAyein
Main Kehta Hoon, To Phri Aap Tak Mehdood Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Be-Chainiyan Be-Sod Ho Jayein
Main Kehta HOON, Fana Fi Alnar Hasat o Bod Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Veraniyan Raste Mein Aa Jayein
Main Kehta Hoon, Hazaron Gham Bohat Saste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Tumhein Takhti Pe Apne Harf Likh Doon To
Main Kehta Hoon, Teri Baatein Mere Baste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Balayein Jab Bhi Mera Naam Leti Hain
Main Kehta Hoon, Tujhe Meri Duayein Thaam Leti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Mujh Se Baatein Kyun Nahi Karte
Main Kehta Hoon, Abhi To Dekhne Ki Manzilon Per Hoon
Woh Mmujh Se Poochti Hai, Shaam Kya Veraan Hoti Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Hijar Ki Pehchaan Hoti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Ratjaon Ka Rang Kaisa Hai
Main Kehta Hoon Ke Jaise Jaagne Wale Ki Aankhon Ka
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hijar Ki Qismein Bhi Hoti Hain
Main Kehta Hoon, Jitne Wasl Utne Hi Hijar Hote Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Pyaar Ka Matlab Batao Ge
Main Kehta Hoon Ke Har Ik Baat Ka Matlab Nahi Hota
Woh Boli, Raaste Mein Dard Ke Kitne Samandar Hain
Main Bola, Aahkri Jo Zabt Se Bahir Nikal Aaye
Woh Boli, Ab To Mujh Mein Zabt Ka Yara Nahi Baaqi
Main Bola, Doobne Ko Phir To Tum Tayar Ho Jjao
Woh Boli, Kayinaatein Is Qadar Simti Hui Hain Kyun
Main Bola, Is Qadar Wasa't Kahan Se Aayi Hai Tum Mein
Woh Boli, Be Saropa Zindagi Se Kya Hua Hasil
Main Bola, Kuch Bhi Ho, Kuch Bhi Na Ho Aakhir Ajal To Hai
Mohabbat Mein Safar Kitna Zaroori Hai, Woh Kehti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mein Kahin Thehra Nahi Jaata
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aashiyane Jal GAye Honge
Main Kehta Hoon Ke Shayed Itefaqan Bach Gaye Honge
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Phir Goli CHali Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Han, Kuch Mayatein Ayi Hain Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Bhi Kuch Bomb Phatte Honge
Mmain Kehta Hoon, Koi Kehraam To Barpa Tha Sarhkon Per
Woh mujh Se Poochti Hai, Phir Adalat Mar Gayi Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Mujrim To Bazaat Khud Hi Munsif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baadshah-e-Waqt Kaisa Hai
Main Kehta Hoon, Bohat Mutemayin Rehta Hai Bechara
Woh Kehti Hai, Hawayein Raat Se Aangan Mein Bethi Hain
Main Kehta Hoon, Ghutan Apna Asar Dikhla Ke Chore Gi
Woh Kehti Hai, Khamoshi Farsh Per Saye Banati HAi
Mein Kehta Hoon, Udaasi Weham Banti Ja Rahi Ho Gi
Woh Kehti Hai Ke Parchayein Bhi Ab Humzaad Lagti Hai
Main Kehta Hoon Ke Tanhai Ne Pagal Ker Diya Ho Ga
Woh Kehti Hai, Meri Chat Per Hayole Raqs Karte Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Wasoosoon Ne Bhes Badla Hai
Woh Kehti Hai, Koi Rota Hai Galiyon Ke Andheron Mein
Main Kehta Hoon, Judai Phir Rahi Ho Gi Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Kuch Hairaan Lagte Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hai Mutmayin Dekha
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Itne Mutmayin Kyun Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hairaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Muztarab Se Lag Rahe Ho Kuch
Main Kehta Hoon Ke Dil Mein Ishq Ka Mehmaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Pareshani Hai Farhat Jee
Main Kehta Hoon Ke Saare Shehar Ko Veraan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badshagooni Ka Sabab Kya Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Zindagani Ka Adab Kya Hai
Woh Boli, Aa Tujhe Main Raakh Ki Taseer Batlaon
Main Bola, Raakh Ko Kya Raakh Ke Baare Batao Gi
Woh Boli, Aa Tujhe Main Dasht Ke Ma'ni Batati Hoon
Main Bola, Aa Tujhe Apne Dil Mein Le Ke Chalta Hoon
Woh Boli, Aa Tujhe Main Zindagi Ki Fikar Samjhaon
Main Bola, Maut Ke Maare Hue Ko Khoob Samjhao
Woh Boli, Aa Tujhe Main Hijar Ka Mara Dikhati Hoon
Main Bola, Han Mujhe Tum Le CHalo Mere Hi Kamre Mein
Woh Kehti Hai, Ghubaar-e-Waqt Mein Dhundla Gaya Jeevan
Main Kehta Hoon, Palat Ker Dekhna Takleef Deta Hai
Woh Kehti Hai Ke Tum Mujh Ko Pukara Hi Nahi Karte
Main Bola, Kya Karoon Koi Gawara Hi Nahi Karta
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Mujhe Tum Yaad Karte Ho
Main Kehta Hoon Ke Jaane-Mann Tumhein Main Bhoolta Kab Hoon
Woh Kehti Hai Ke Ab To Rayigaan Lagta Hai Sara Kuch
Main Kehta Hoon, Mujhe To Rayigaani Ka Bho Dhoka Hai
Woh Kehti Hai, TAmanayein Salamat Hi Nahi Ab To
Main Kehta Hoon Ke Jeevan Mein Yeh Thehrao Bhi Aata Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shorq, Chashm Tamasha Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Shorq Alam Ka Hissa Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baiat-e-Sultaan- e-Gham Kyunkar
Main Kehta Hoon Ke Yeh Aadab Hain Rasm-e-Mohabbat Ke
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jabar Per Sabar Masalsal Kyun
Main Kehta Hoon Ke Jab Tak JAng Ki Soorat Nahi Milti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Alam-e-Bala Kahan Per Hai
Main Kehta Hoon, Hamari Fikar Ki Balayi Manzil Per
Woh Mujh Se Poochti Hhai, Sab Qayam-o-Nazam Kaise Hain
Main Kehta Hoon, Koi To Hai Jise Sab Theek Rakhna Hai
Woh Kehti Hai, Main Rizq Khaak Be-Ma'ni Hoon Duniya Mein
Main Kehta Hoon KE yEH Sara Nizaam-e-Aadmiyat Hai
Woh Kehti Hai, Main Ajz-e-Fitrat- e-Konain Hoon Janan
Main Kehta Hoon, Mujhe Maloom Hai Aye Azmat-e-Khaaki
Woh Kehti Hai, Main Khwab-e-Noor- e-Batin Hoon Sahifon Mein
Main Kehta Hoon, Kise Inkaar Hai Aye Khwaish-e-Yazdan
Woh Kehti Hai, Main Husn-e-Narmi Ehsaas Hoon Farhat
Main Kehta Hoon Ke Main To Khud Gawah-e-Lams- e-Shabnam Hoon
Woh Kehti Hai Ke Main Khushboo-e-Itr- e-Surkhi- e-Subah Hoon
Hawas Khamsa Alim Mujhe Mehsoos Karte Hain
Wwoh Boli, Main Aseer-e-Hijrat Hoon Zamanon Se
Main Bola, Be-Thikana Pan To Sadiyon Ka Asasa Hai
Woh Boli, Main Gul-e-Shaakh- e-Gham-e- Tanhai Hoon Farhat
Main Bola, Main Mazar-e-Hijar Hoon Wehshat Ke Narghe Mein
Woh Boli, Main Mata-e-Ghair Hoon Tere Liye Farhat
Main Bola, Han Yeh Sadiyon Se Mohabbat Ka Vateera Hai
Woh Boli, Main Dar-e-Iwaan- e-Hairan Hoon Zamane Mein
Main Bola Main Musafir Hoon, Main Bola Main Musafir Hoon
Woh Boli, Main Talooh-e-Aaftaab Husan Ka Manzar
Main Bola, Han Agar Main Chashm-e-Benaye Tamanna Hoon
Woh Kehti Hai, Andhere Raaston Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Abhi To Qabar Bhi Aani Hai Raste Mein
Woh Kehti Hai, Zamane Ka Rawaiya Dil Mein Chubhta Hai
Main Kehta Hoon Ke Achi Baat Hai Tum Mukhtalif To Ho
Woh Kehti Hai Ke Jaane Kyun Khamoshi Bhi Khatakti Hai
Main Kehta Hoon Ke Mumkin Hai Tumhein Kehna Ho Kuch Us Ne
Woh Kehti Hai, Samandar Sa Koi Rehta Hai Aankhon Mein
Main Kehta Hoon, Kabhi Mere Bhi Dil Mein Jhaank Ker Dekho
Woh Kehti Hai, Mujhe Sahil Se Nafrat Hai Museebat Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Buzdali Hai Rayigaani Ki
Woh Boli, Baarishon Se Mustaqil Jhagre SE Kya Hasil
Maon Bola, Baarishon Se Hat Ta'luq Teri Khatir Hai
Woh Boli, Main Majboor Hoon Jeevan Ke Changal Mein
Main Us Ke Jhoot Per Bola, KHUDA Ka Reham Ho Tum Per
Woh Boli, Ishq Hai To Ishq Mein Milna Milana Kya
Main Bola, Ishq Ka Apna Nizaam-e-Wasl Hota Hai
Woh Boli, Dooriyan To Kuch Mohabbat Kam Nahi Karteen
Maon Bola, Han Magar Milne Ki Khwaish Ko Barhaati Hain
Woh Boli, Saath Bandh Jaane Se Behtar Hai Bichar Jayein
Main Us Ki Baat Per Dukh Se Hansa Aur Kuch Nahi Bola
Woh Kehti Hai, Safar Mein Kyun Sitaare Saath CHalte Hain
Main Bola, Jis Tarah Darya Kinaare Saath Chalte Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Chand Ki Basti Kahan Per Hai
Main Us Ki Baat Per Us Ehad Mein Hairaan Hota Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Sooraj Mein Sulagta Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aur Dil Ko Thaam Leti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Rooh Ki Larzish Ke Baare Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Be-Qarari Raqa Karti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Almiya Kya Cheez Hoti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Aur Nafrat Zindagi Aur Maut Hai Shayed
Woh Boli, Sawanon Mein Ab Woh Pehle Rang Kam Kam Hain
Main Bola, Ab Piya Bhi To Sukhi Ke Sang Kam Kam Hain
Woh Boli, Nain Kuch Kehte Hue Aksar Jhijhakte Hain
Main Bola, Dil Mein Bethe Chor Ko Rasta Nahi Milta
Woh Kehti Hai Ke Jhanjhar Ab Tumhein Mayil Nahi Karti
Main Kehta Hoon, Tumhein Ab Zindagi Qayil Nahi Karti
Woh Kehti Hai Ke Peele Phool Bhi Khushboo Nahi Dete
Main Kehta Hoon, Judai Theek Se Chubhti Nahi Dil Mein
Wo Kehti Hai, Mohabbat Hadson Ke Kheench Laati Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mo'jzon Ko Shakal Deti Hai
Woh Kehti Hai, Hawayein Pairh Se Manoos Hoti Hain
Main Kehta Hoon Ke Un Ke Darmiyan Rishta Purana Hai
Woh Kehti Hai, Sadayein Parbaton Se Laut Aati Hain
Main Kehta Hoon Un Ke Un Se Tukrana Nahi Aata
Woh Kehti Hai, Fizayein Husn Se Aabad Rehti Hain
Main Kehta Hoon, Agar Is Husn Ki Taqdees Baaqi Ho
Woh Kehti Hai, Wafayein Shehar Se Bezaar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Itne Chup Dar-o-Deewar Kyunkar Hain
Woh Kehti Hai, Ghatayein Dasht Ke Is Paar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Pyaas Ki Apni Karamat Hai
Woh Boli, Aasmanon Ki Taraf Nazrein Nahi Uthteen
Main Kehta Hoon Ke Shayed Bojh Parta Hai Nigahon Per
Woh Kehti Hai, Zameend Pairon Ke Neeche Sard Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Zameend Hum SE Bohat Naraz Rehti Hai
Kaha Us Ne, Meri Itraaf Mujh Ko Qaid Rakhti Hain
Kaha Main Ne Ke In Itraaf Se Bahir Nahi Kuch Bhi
Kaha Us Ne, Darakht Apni Jarhon Se Pyar Karte Hain
Kaha Main Ne, Jarhein Ik Roz In Ko Mar Deti Hain
Kaha Us Ne, KHUDA Ache Bure Ki Baat Sunta Hai
Kaha Main Ne, Use Aawaz Ki Pehchaan Aati Hai
Woh Boli, Main Chehakte Badalon Ki Gungunahat Hoon
Main Bola, Tum Mehakte Motiya Ki Muskurahat Ho
Woh Boli, Main Suhaane Mausamon Ke Geet Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Haseen Dehatiyon Ki Pareet Jaisi Ho
Woh Boli, Main Chamakti Chandni Ke Rang Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Mohabbat Ke Purane Jhang JAisi Ho
Woh Boli, Main Lehakti Wadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Main Bola, Qaaf Ki Shehzadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Woh Boli, Main Samandar Paar Ki Janat Se Aayi Hoon
Main Bola, Main Tumhaare Khaas Istaqbaal Ko Aaya
Woh Kehti Hai Ke Mujh Se Titliyan Bhi Pyar Karti Hain
Main Kehta Hoon, Unhein Tum Baagh Ke Phoolon Si Lagti Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe Jugnoo Bhi Choone Ke Liye Aayein
Main Kehta Hoon, Tumhein Woh Chand Ki Mehmaan Samajhte Hain
Woh Kehti Hai, Meri Aawaz Ko Gunbad Taraste Hain
Main Kehta Hoon, Tumhari Bazgusht Mehrbaan Chahein
Woh Kehti Hain, Main Hans Doon To Fizayein Raqs Kar Uthein
Main Kehta Hoon, Tu Ro De To Ghatayein Raqs Kar Uthein
Woh Kehti Hai, Parinde Pyar Se Mujh Ko Bulate Hain
Main Kehta Hoon, Shajar Aksar Tere Qisse Sunate Hain
Woh Boli, Dard Aksar Raat Ko Soya NahI Karta
Main Bola, Is Tarah To Koi Bhi Rota Nahi Karta
Woh Boli, Hum To Ik Shaam-e-Ghareeban Ghar Mein Rakhte Hain
Main Bola, Karbala Waalon Se Kuch Nisbat Theharti Hai
Woh Boli, Dil Ki Veraani Ke Saye Cheekh Uthte Hain
Main Bola, Raat Ke Pichle Pehar Ik Jashan Hota Hai
Woh Boli, Dard Se Aksar Koi Aawaz Aati Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Kaun Bichra Hai Jawani Mein
Woh Boli, Eik Deewar-e-Ana Hayil Rahi Ab Tak
Main Bola, Ab Talak Nuqsaad Bhi To Ho Chuka Kaafi
Woh Boli, Raat Ke Maathe Pe Teeka Hai Suhagan Sa
Main Bola, Han Yeh Peshani Anokhi Hai Zamane Mein
Woh B oli, Har Taraf Jangal Mein Ik Pazeb Bajti Hai
Main Bola, Har Taraf Chanchal Hawa Phirti Hai Bhagi Si
Woh Boli, Sardiyon Mein Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi
Main Bola, Tum Ne Mere Lams Ki Shiddat Kabhi Dekhi
Woh Boli, Baarishon Mein Shehar Dhal Jjata Hai Lamhon Mein
Main Bola, Han Magar Aankhein Bohat Thak Jaya Karti Hain
Woh Boli, Garmiyon Mein Pairh Ki Chaon Bulaati Hai
Main Bola, Garmiyon Mein Pairh Bhi Kaisi Panahein Hain
Woh Boli, Zaat Ko Taqseem Hi Karte Raho Ge Kya
Main Bola, Waqt Ke Apne Taqaze, Dil Ke Apne Hain
Woh Boli, Phir Palat Aaye, Chale To Phr Palat Aaye
Main Bola, Band Kooche Ka Safar Hai Zindagi Apni
Woh Boli, Har Sarak Jaati Hai Gham Ke Shehar KI Janib
Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apne DIl Mein Ho To Phir
Woh Boli, Gham Hamesha Saath Deta hai Museebat Mein
Main Bola, Ik Zara Thehr, Mujhe Ghor Se Dekho
Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhe Tum Saath Hi Rakhte
Main Bola, Rooh Bin Main Jism Kya Karta, Kahan Jata
Woh Boli, Aa Gaya Hai Rateela Mausam Judai Ka
Main Bola, Main Tera Sehra Noord Mustaqil Thehra
Woh Boli, Rait Urti Hai To Aankhon Mein Bhi Parti Hai
Main Bola, Dard Ki Mari Hui Aankhon Ko Us Se Kya
Woh Boli, Soch Lo Is Dhoop Mein Kaante Baraste Hain
Main Bola, Yeh To Acha Hai Badh Per Phool Mehkein Ge
Woh Boli, Raat Zakhmon Per Bohat Teesein Bhi Barsein Gi
Main Bola, Zakhm Per Zakhmon Ki Seh Jaane Ki Adat Hai
Woh Boli, Aarzuon Ke Lahoo Ka Zayiqa Kya Hai
Main Bola, Talkh Hai Meeta Hai, Karwa Hai Raseela Hai
Woh Kehti Hai Ke Main To Maang Mein Sooraj Sajaongi
Main Kehta Hoon Ke Sooraj Ki Wazahat Ho Magar Pehle
Woh Kehti Hai, Main Apne Dil Mein Ik Deewar Uthaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Main Is Baat Ka Matlab Nahi Samjha
Woh Kehti Hai, Main Aankhon Mein Koi Sehra Basaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Benayi Jhils Jaye Gi Aise To
Woh Kehti Hai, Main Pairhon Per Tumhara Bakht Likhoon Gi
Main Kehta Hoon Ke Pairhon Se Adawat Hai Tumhein Koi
Woh Kehti Hai, Main Paani Per Tera Chehra Banaon Gi
Main Kehta HooN, Mujhe Lagta Hai Tera Dil Bhi Paani Tha
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kise Mujrim Samajhte Ho
Main Kehta Hoon, Use Jo Dard Ke Ma'ni Na Samjha Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jhoot Aur Sachaiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Niyyat Aur Natayij Ki Pazerayi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Sab Se Pehle Kaun Rehta Tha
Main Kehta Hoon Ke Andaza Ya Mafrooza Hi Mumkin Hai
Who Mujh Se Poochti Hai, Kaun Reh Jaye Ga Duniya Mein
Main Kehta Hoon Ke Bilkul Ik Nayi Aur Ajnabi Duniya
Woh Mujh Se Poochti Hai, Maut Ke Baare Mein Batao Ge
Main Kehta Hoon, Khat-e-Tanseekh Hai Aaghaz Se Pehle
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jangalon Mein Kaun Rehta Hai
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Shehar Mein Rehne Se Khayif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aasmanon Se Pare Kya Hai
Main Kehta Hoon, Na Veraane Na Aabadi Na Barbadi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Waqt Ko Tum Kya Samajhte Ho
Main Kehta Hoon Ke Har Ehsaas Ke A'dad Ki Ginti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya KHUDA Ko Mante HO Tum
Mian Kehta Hoon, Yaqeenan Aur Use Mehsoos Karta Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Yeh Mazahib Ke Masail Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Ke Bare Logon Ki Baatein Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khwab Ki Ta'beer Ke Baare
Main Us Se Poochta Hoon, Aqal Ki Jageer Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Zindagi Ke Raaz Ke Baare
Main Us Se PoochTA Hoon, Dharkanon Ke Saaz Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Aur Din Ki Musafat Kya
Main Kehta Hoon, Yeh Saaye Hain Kisi Qaidi Musafir Ke
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hum Agar Kuch Bhi Nahi Hain To
Main Kehta Hoon, Nahi Hona Bhi Hota Hai JAhanon Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aqal Kya Hai Aur Dil Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Ik Ikhtelaaf Amal Paheem Hai
Woh Kehti Hai Ke Deewanon Ka Koi Kya Bharosa Hai
Main Kehta Hoon, Bharose Ke Liye Duniya Hi kYA Kam Hai
Woh Kehti Hai, Kisi Ko Mat Bata Dena Mere Baare
Mmain Kehta Hoon, Magar Ik Geet Ko Aur Chandni Shab Ko
Woh Kehti Hai, Suno Farhat, Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Tum To Khud Meri Rayazat Ho
Woh Kehti Hai, Yeh Saare Log Ktyun Baatein Banate Hain
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Yeh Mohabbat Ka Muqadar Hai
Main Kehta hOON, Mohabbat Kayinaati Geet Hoti Hai
Woh Thora Gunguna Ke Aansuon Mein Doob Jati hAI
Woh Mujh Se Poochti Hai, Har Taraf Ik Be Kali Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Koi Anjaam Aa Pohancha Hai Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Be Sarosamaan Kab Se Ho
Main Us Se Poochta Hoon, Is Qadar Nadaan Kab Se Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Lawaris Hai Muqatil Mein
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Qatal Karne Ke Liye Aaye
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Halat Ka Kya Ho Ga
Main Kehta Hoon, Koi Din Mein Balayein Loot Jayeingi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Karbala Kya Phir Bapa Ho Gi
Mmain Kehta Hoon, Nahi, Ab Is Qadar Tanha Nahi Koi
Woh Boli, Darrd Ke Us Paar Bhi Eik Dard Hota Hai....

Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain

Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain,
Har Naye Mod Par Ek Zakhm Naya Dete Hain,

Tum Se To Khair Ghadi Bhar Ki Mulakat Rahi,

Log Barson Ki Rafakat Ko Bhula Dete Hain,

Kaise Mumkin Hai Ke Dhuwan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jale,

*** Padti Hai To Patthar Bhi Sada Dete Hain,

Kaun Hota Hai Musibat Mein Kisika Aye Sanam,

Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain,

Jinpe Hota Hai Bahut Dilka Bharosa Jane Kyon,

WaQt Padne Pe Wohi Log Daga Dete Hain...

MUHBBAT MOON KA GHAR

Wo Kehti hai Suno Jana
Muhbbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko

Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho Tu Ho
Muhbbat Ho Nai Sakti

Wo Kehti Hai Sada Aisay He
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nai Sakti

Main Kehta Hoon
Muhbbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Muhbat K Siwa
Kch b Nai Ata

Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nai Hai Ab

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Buht Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Muhbbat Main
Judai Saath Chalti Hai

Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye

Main Kehta hoon
Kabhi Ais Baat per socha nai main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain


wo kehti hai tumhien muj say
muhbbat ais kader kio hoon
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon

main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi

wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kio ho
keh main khud ko buht
keemti mehsoos kerti hoon

main kehta hon
Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon

wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay
keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhbbat hai

main kehta hoon
muhbbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi muj say
tumhari baat kerti hai

wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darta ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain

Main kehta hoon
yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya

wo kehti hai
Atif ji buht baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
buht he shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai or
lab khamosh rehtay hain

Koi ghazal suna ker kya kerna,

Koi ghazal suna ker kya kerna,
Yoon baat barrha ker kya kerna..?

Tum mere thay tum mere ho,

Duniya ko bata ker kya kerna..?
...
Tum ehad nibhao chaahat say,
Koi rasm nibha ker kya kerna..?

Tum khafa bhi achay lagtay ho,

Phir tum ko mana ker kya kerna..?

Tere dar pe aa k bethay hain,

Ab ghar bhi ja ker kya kerna..?

Din yaad se acha guzray ga,

Phir tum ko bhula ker kya kerna

CHALA JAON GA

Teri Mushkil Na Barhaon Ga, Chala Jaon Ga,
Ashk Ankhon Mein Chupaon Ga, Chala Jaon Ga,
Muddaton Baad Main Aaya Hoon Puraney Ghar Mein,
Khud Ko Jee Bhar K Rulaon Ga, Chala Jaon Ga,
Un Muhallaat Se Kuch Bhi Nahi Lena Mujh Ko,
Bas Tumhen Daikhney Aaon Ga, Chala Jaon Ga,
Chund Yadein Mujhy Bachon Ki Tarha Pyari Hain,
Un Ko Seenay Se Lagaon Ga, Chala Jaon Ga,
Apni Dehleez Pe Kuch Dair Para Rehney Do,
Jaise He Hosh Mein Aaon Ga, Chala Jaon Ga

MILA KAREN GEY

Bichar gaye to hum ik
mah_e saal ban kar mila karen gey,


Kitab-e-ehad e wafa ke ik ik warq pe apni khabar miley gi,


Hum Ahl_e_ulfat mohabbaton ki misal ban kar mila karen gey,


Hazar lamho'n ki ho musafat dilo'n ki dharkan sunai de gi,


Guzarte lamhon ki har sada mein dhamaal ban kar mila karen gey,


Abhi to lamhon ki dooriyon per bhatak rahe hain magar kabhi hum,


Falak ki gardish mein aa gaye to hilal ban kar mila karen gey. . .*

Hum Kya Se Kya Ho Gaye...

Saare Sapne Kahin Kho Gaye,

Haaye Hum Kya Se Kya Ho Gaye...

Dil Se Tanhaii Ka Dard Jeeta,

Kya Kahen Hum Pe Kya Kya Na Beeta,

Tum Na Aaye Magar Jo Gaye,

Haaye Hum Kya Se Kya Ho Gaye...

Tum Ne Hum Se Kaheen Thiin Jo Baatain,

Un Ko Duhraati Hain Ghamm Ki Raatain,

Tum Se Milne K Din ToO Gaye,

Haaye Hum Kya Se Kya Ho Gaye...

Koi Shikwa Na Koi Gila Hai,

Tum Se Kab Hum Ko Ye Ghamm Mila Hai,

Haan Naseeb Apne Hi So Gaye,

Haaye Hum Kya Se Kya Ho Gaye. .*

Utho meri dunya k garibon ko jaga do

Utho meri dunya k garibon ko jaga do
Khak-e-umra k dar-o-diwar hila do

Garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
Kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do

Sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
Jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do

Jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
Us khet k har khosha-e-gandum ko jala do

Kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
Piran-e-kalisa ko kalisa se hata do

Main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
Mere liye mitti ka haram aur bana do

Tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
Adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do

Aaghaz To Hota Hai Anjaam Nahi Hota

Aaghaz To Hota Hai Anjaam Nahi Hota,


Jab Meri Kahaani Mein Wo Naam Nahi Hota.


Jab Zulf Ki Kaalak Mein Ghul Jaye Koi Raahi,


Badnaam Sahi Lekin Gumnaam Nahi Hota.


Hans Hans Ke Jawaan Dil Ke Hum Kyun Na Chunei'n Tukre,


Har Shakhs Ki Qismat Mein Inaam Nahi Hota.


Behte Huwe Aansuo'n Ne Kaha Aankh Se Tham Kar,


Jo Mey Se Pighal Jaye Woh Jaam Nahi Hota.


Din Doobe Hain Ya Doobi Baraat Liye Kashti,


Saahil Pe Magar Koi Kohraam Nahi Hota. . .*

MUJHE DAKH KAR

Muddat K Bad Dekha Use Badla Hua Tha Wo
Najane kia Haadsa Hua Sehma Hua Tha Wo

Mujhe dakh kar Usne Chehra to chupa Liya
Mgr Ankhen Bata Rahi Thi K RO0YA hua tha wo

Uski Ankhen Dakh Kar MEHSOOS hua Mujhe
Meri Tarha kisi S0och main Dooba Hua Tha wo

Uski S0ne Jasi Rangat Zard Parr Gai thi
Jase kisi Ke pyaar main jalla Hua tha Wo

NAEEM Qurbaan Jaon us shakhs par main
Yaad main jis ki Khoya Hua Tha Wo

Wo muje Mehndi lage hath dikha kr Roi

Wo muje Mehandi lage hath dikha k Roi
Me kisi or ki hn bs itna bta kr Roi
Umer bhar ki judai ka khayal aya tha shayad
Wo muje pass apne dair tak bitha kr Roi

Ab k na sahi zaroor hashar main milain ge
Yakja hone k dilase dila kar Roi
Kabi kehti thi k main nae G paon gi tumhare bin
Aur aaj phr wo ye baat dohra k Roi

Mujh se zayda bicharne ka ghum usey tha
Waqt-e-rukshat wo mujhe seenay se laga kr Roi
Main be-kasoor hn,Qudrat ka faisla hai yeh
Lipat k mujh se bus wo itna bta kr Roi

Mujh pe ik kurab ka toofan ho geya hai
Jb mere samne mere khat jala kr Roi
Meri nafrat or adawat pighal gai ik pal main
Wo be-wafa hai to ku mujhe rula kr Roi

Sb shikwe mere ik pal main badal gae
Jheel si ankhon main jb Ansu saja kr Roi
Kese us ki Mohabbat per shaq karen hum SAGAR
Bari mehfil me wo muje gale laga k Roi

Wo muje Mehndi lage hath dikha kr Roi
Wo muje Mehndi lage hath dikha kr Roi

AB HUM JAGNE WALY


itliyaann jugnoo sabhi hongay magar dekhay ga kaun
 Hum saja bhi lein agar deewar-o-dar dekhay ga kaun

 Ab tu hum hain jagnay walay teri khatir yahaan hum na hongay tu tere shaam-o-sehar dekhay ga kaun

 jis ki khatir hum sakhan sachayi kay rastay chalay jab wahi usko na dekhay tu hunar dekhay ga kaun

sab nay apni apni ankhon per naqaabein dal li jo lih hai sheher ki deewaar per dekhay ga kaun

 bay sitarah zindagi kay ghar main ab bhi raat ko ik kiran teray khayalon ki magar dekhay ga
 kaun

TUME HUM PASAND KARTAY HAIN


YEH AAINE JO TUMHE KAM PASAND KARTE HAIN INHE KHABHAR HAI TUMHE HUM PASAND KARTE HAIN TUMHE KHUDA NE ZAMANE MEIN NAZEEN KIYA MERI NAZAR NE TUMHE AUR BHI HASEEN KIYA TERE BAGAIR SAFAR KIYA HAI RASTA KIYA HAI HUM AASHIQO KO ZAMANE SE WASTA KIYA HAI KE HUM TO AAP KO JANAM PASAND KARTE HAIN IS LIYE TUMHE MAUSAM PASAND KARTE HAIN YEH AAINE JO TUMHE KAM PASAND KARTE HAIN INHE KHABHAR HAI TUMHE HUM PASAND KARTE HAIN KAREEB AAO KE BHAR LEIN TUMHE NIGHAAO MEIN TUMHE SAMAAIT LEIN IN BEKARAAR BAAHAO MEIN HAI KON AISA JISE DHAKHANO MEIN BAND KARE TUMHI BATAO TUMHE KUYE NA HUM PASAND KARE KE PYAAS LOG SHABNAAM PASAND KARTE HAIN KOI KARE NA TUMHE HUM PASAND KARTE HAIN YEH AAINE JO TUMHE KAM PASAND KARTE HAIN INHE KHABHAR HAI TUMHE HUM PASAND KARTE HAI

mERA GHAR AOO


meray kamray main baitho or har ek shay ko dekho book shelf main pari hoye kitabain or dairiyan maiz par rakhi hoye tasveerain or guldaan main murjhaye hoye phool tumhain batain gay draaz main mojood cassetes deewaron par lagay cards tum par ayan karain gay kay kessay meray armaano'n nay teray khuab dekhay thay agar ho sakay to kissi din meray ghar aao deewaron par khuday hoye huroof or bistar par naqsh bayqrari tum pay ayan karay gi kay meri aarzoo'oan nay kis tarah tumhari aarzoo ki hai or kessay meray khuabon nay tumharay khuab dekhay hain agar ho sakay to kissi din meray ghar aao

Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko,

Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko,
Sochtay hain k aik taveez bana lain tum ko,
Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta daikhain,
Kion na aangun main chunbaili sa laga lain tum ko,
Kis qadar toot ker tum per hamain pyaar aata hay,
Bhur lain banhoon main aur maar hi dalain tum ko..!

Wednesday, 21 March 2012

Tu Hawa K Hath Pe Chahtoun Ka Dia Jalany Ki Zid Na Kr

Tu Hawa K Hath Pe Chahtoun Ka Dia Jalany Ki Zid Na Kr

Ye Udas Logo Ka Shehr Hai Yaha Muskrany Ki Zid Na Kr


Me Hon Dosto Ka Dasa Hua, Mera Gham Hai Had Se Barha Huwa

Me Shiksta Ghar Ki Misal Hon Mere Pas Aany Ki Zid Na Kr


Me Teri Ghazal To Nahi Hon Na Jo Hr 1 Lab Pe Saja Rahon

Me To 1 Misra-e-Dard Hon Mujhy Gungnany Ki Zid Na Kr


Abhi Lout Aa, Abhi Waqt Hai Abhi Jan Baqi Hai Jism Me

Tujhy Eilm Hai Meri JAN Hai Tu, Mujhy Aazmany Ki Zid Na Kr

Sitarey sabhi hum teray naam kartey

Sitarey sabhi hum teray naam kartey
Muhabbat saja kar haseen shaam kartey

Humain kuch atta ho teray aastaan se
Ghulami teri hum ye bey daam kartey

Chupa kar chaley hum sabhi chahaton ko
Suna kar ye qissay na bad naam kartey

Barastey na hotey ye pather shehar may
Hawaley guloon ke dar-o-baam kartey

Kabhi tum giratey ye mann ke button ko
Haseen aik Khuda hum teray naam kartey

Ab Or Kis Subha Se Main Aas Lagaon

Ab Or Kis Subha Se Main Aas Lagaon
Jab Shaam Tak B Usko Main Yaad Na Aun

Wo Kho Gya Hai Shayed Apni Rafaqaton Main
Ab Barishon K Moasum Main Yaad Kya Dilaon

Tarpa Nahi Hai Ab Tak Wo Kisi Ki Judaiyon Main
Main Apne Aansoou Ko Faryaad Kyun Banaon

Charcha Abhi Nahi Hai Ruswaiyon Ka Meri
Darta Hon Kal Jahan Main Ruswa Ho Na Jaon

Kehta Raha Hon Usko Mera Sath Sath Chalna
Wo Agay Nikal Gaya Hai Main Kahin Bichar Na Jaon