Friday, 23 March 2012

Jise ishq ka tir kaari lage

Jise ishq ka tir kaari lage,
Use zindagi kyon na bhaari lage.

Na chhore mahabbat dam-e-marg lag,
Jise yaar jaani son yaari lage.

Na hoe use jag mein hargiz qaraar,
Jise ishq ki beqaraari lage.

Har ik waqt mujh aashq-e-paak kon,
Piare teri baat piari lage.

Wali kon kahe tu agar ek bachan,
Raqibaan ke dil mein kataari lage.


Yaad karna har ghari us yaar ka Hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka.

Yaad karna har ghari us yaar ka
Hai wazifa mujh dil-e-bimaar ka.

Aarzoo-e-chasma-e-kausar nahin
Tishna-lab hun sharbat-e-didaar ka.

Aakbat kya howega maalum nahin
Dil hua hai mubtla dildaar ka.

Kya kahe tarif dil, hai be nazir,
Harf harf us makhzan-e-israar ka.

Gar hua hai taalib-e-aazadgi,
Band mat ho subba-o-zunnaar ka.

Masnad-e-gul manzil-e-shabanam hui,
Dekh rutba dida-e-bedaar ka.

Ai Wali hona srijan par nisaar,
Mudda hai chashm-e-gohar baar ka.

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai.

Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai.

Aashiq saa to saada koi aur na hoga dunya mein,
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai.

Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaane hai.

Mehr-o-wafa-o-lutaf-o-inait, ek se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hai.

Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai.

Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai.

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.

Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.

Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.

Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq.

Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.

Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.

Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq?

Faqiraana aae sadaa kar chale

Faqiraana aae sadaa kar chale,
Miyaan khush raho ham dua kar chale.

Jo tujh bin na jeene ko kahte the ham,
So is ahd ko ab wafa kar chale.

Koi naumidana karte nigah,
So tum ham se munh bhi chhipa kar chale.

Bahut aarzoo thi gali ki teri,
So yaan se lahu mein naha kar chale.

Dikhai diye yun ke bekhud kiya,
Hamen aap se bhi juda kar chale.

Jabin sijda karte hi karte gayi,
Haq-e-bandgi ham ada kar chale.

Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe,
Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale.

Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bara kar chale.

Kahen kya jo puchhe koi ham se Mir,
Jahaan mein tum ae the kya kar chale.

Ibtadaae ishq hai rota hai kya

Ibtadaae ishq hai rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya.
Qafile mein subah ke ek shor hai,
Yaani ghaafil ham chale sota hai kya.

Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin,
Tukhm-e-khwahish dil mein tu bota hai kya.

Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin,
Daagh chhaati ke abas dhota hai kya.

Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz,
Mir isko raigaan khota hai kya.

Apne taeen to har ghari gham hai

Apne taeen to har ghari gham hai, alam hai, daagh hai,
Yaad kare hamen kabhi kab yeh tujhe dimagh hai.

Ji ki khushi nahin giro sabzaa-o-gul ke haath kuchh,
Dil ho shagufta jis jagah woh hi chaman hai baagh hai.

Kis ki yeh chashm-e-mast ne bazm ko yun chhaka diya,
Masl-e-habaab sar nagun sharam se har ayaagh hai.

Jalte hi jalte subah tak guzri use tamaam shab,
Dil hai ke shola hai koi, shama hai ya chiragh hai.

Paiye kis jagah bata ai but-e-bewafa tujhe,
Umr-e-guzashta ki tara gum hi sada suraagh hai.

Sair-e-bahaar-o-baagh se ham ko maaf kijiye,
Us ke khayaal-e-zulf se Dard kise faraagh hai ?